Ye Jo Halka Halka Suroor Hai
Saaqi ki har nigah pe bal kha ke pii gaya
lehron se khelta hua lehra ke pii gaya
Ay Rehmat-e-tamaam! Meri har khata maaf!
Main inteha-e-shauq mein ghabra ke pii gaya
Dar par tha chashm-e-yaar ki sheh paa ke pii gaya
Zahid! Ye meri shokhi-e-rindana dekhna
"Rehmat" ko baaton baaton mein behla ke pii gaya
Mutribon ki nawaain aati hain
kis ke geysoo khulain hain saawan main
Mehki mehki hawain aati hain
Aao sehn-e-chaman main raqs karain
Saaz lai kar ghataain aati hain
Dekh kar un ki aankhnion ko adam!
Maikadon ko haya-ain aati hain
Paas rehta hai door rehta hai
Koi dil mein zaroor rehta hai
Jab se dekha hai un ki aankhon ko
Halka halka suroor rehta hai
Aisay rehte hain wo mere dil main (4:45)
jaise zulmat mein noor rehta hai
Ab adam ka ye haal hai har waqt
Mast rehta hai choor rehta hai
Ye Jo halka halka!
Ye Jo halka halka suroor hai
Ye teri nazar ka kusoor hai
K sharaab pina sikha diya
Teray pyaar ne, teri chaah ne (8:20)
Teri behki behki nigaah ne
Mujhe ik sharaabi bana diya
Sharaab kaisi, khumaar kaisa (12:40)
Ye sab tumhaari nawaazishain hain
Pilaai hai kis nazar se tune
k mujhko apni khabar nahi hai
Saara jahan mast
Jahaan ka nizaam mast
Din mast raat mast sahar mast shaam mast
Khum mast sheesha mast sabuu mast Jaam mast
Hai teri chashm-e-mast se har khaas-o-aam mast
Yun toh saaqi har tarha ki, tere mai-khaanay main hai
Wo bhi thori si, jo in aankhon k paimaanay main hai
Sab samajhta hun teri Ishwa-gari
Kaam karti hai nazaar naam hai paimaanay ka
Mere Saaqi! Mere Saaqi! Mere Saaqi Saaqi mere Saaqi! (17:00)
Lehra k jhoom, jhoom k la, muskura k la
Phoolon k ras main chaand ki kirnain mila k la
Kyun ja rhi hai routh k rangeen-e-bahaar?
Ja aik martaba ise wargala k laa
Saagar shikan hai Shaikh bala Nosh ki nazar
Sheeshay ko zair-e-daaman-e-rangeen chupa k laa
Kehte hain Umr-e-Rafta kabhi laut'ti nahi
Ja maikaday se meri jawaani utha k laa
Maine maana Janaab! Peeta hun
Zindagi ka Azaab peeta hun
Ban k khaana kharab peeta hun
Roz-e-mehshar hisaab ho na sakay
Is liye be-hisaab peeta hun
Jaam hai, maahtaab hai Saaqi, Saaqi!
Saara mousam Sharaab hai, Saaqi
Bahaz lamhaat aisay hotay hain
Jin main peena sawaab hai, Saaqi
Achi pi li, kharaab pi li
thi aag, misaal-e-habaab pi li
Aadat hai ab to nasha na Kaif!
Paani na piya, Sharaab pi li
Nasha "Imaan" hota hai, Suraahi "Deen" hoti hai (23:40)
Jawaani ki ibadat kis qadar rangeen hoti hai
Tumhara husn agar benaqaab ho jaye
Har aik chehra khuda ki kitaab ho jaye
Jo Qaaiday se naa ho to fuzool hai Sadja (25:20)
Adab k saath khata bhi sawaab ho jaye
Sharaabion ko Aqeedat hai is qadar tumse
Jo tum pila do paani, Sharaab ho jaye
Dil uska namaazi ban jaye (27:10)
Aankh uski gulaabi ho jaye
Jis ko tu muhabbat se dekhe
Saaqi! Wo sharaabi ho jaye
Mere Saaqi Saaqi! Mere Saaqi!
Naa Namaaz aati hai mujhko na wuzu aata hai
Sajda karleta hun jab saamnay tu aata hai
Kyun K
Bass meri zindagi tera pyaar hai
Main Azal se banda-e-Ishq hun
Mujhe Zohd-o-Kufr ka ghum nahi
Mere sar ko dar tera mil gaya
Mujhe ab Talaash-e-Haram nahi
Meri bandagi hai wo bandagi
Jo ba-Qaid-e-Dair-o-Haram nahi
Mera ik nazar tumhein dekhna
Ba-Khuda Namaaz se kam nahi
Tera Naam loon! Subho Shaam tera naam loon (41:00)
Tera Naam loon zubaan se, tere aagay sar jhuka doon
Mera Ishq keh raha hai, main tujhe khuda bana loon
Tera naam mere lab par, mera tazkira hai dar dar
Mujhe bhool jaaye dunya, main agar tujhe bhula doon
Mere dil main bas rahay hain, tere be-panaah jalway
Na ho jismain noor tera, wo chiraagh hi bujha doon
Teri dillagi k sadkay, teri sangdilli k qurbaan!
Mere ghum pe hasne waale, tujhe konsi dua doon?
Qayamat main tera daagh-e-muhabbat le ke uthun ga
Mere ghum pe hasne waale, tujhe konsi dua doon?
Zulf rukh se hata k baat karo
Raat ko din bana k baat karo
Maikaday k chiraagh madham hain
Zara aankhain utha k baat karo
Phool kuch chaahiyen huzoor humain
Tum zara muskura k baat karo
Ye bhi andaaz-e-guftugu hai koi?
Jab karo dil dukha k baat karo
Teri dillagi k, main sadkay!
Zara apni shokhi to dekhiye
Liye zulm kham-shuda haath main
Mere paas aaye dabbay dabbay
Mujhe "Saanp" keh kar dara diya
Dil ki talab hai aur tamanna hai jaan ki (54:08)
Kya meherbaaniyaan hain mere meherbaan ki
Naazuq mizaaj ho na koi yaar ki tarah
Khichta hai baat baat pe talwaar ki tarah
Dil muft chaahta hai magar sab k saamnay
Qeemat laga raha hai khareedaar ki tarha
Qayamat main tera Daagh-e-Muhabbat le ke uthun ga
Teri tasweer us dam bhi kaleje se lagi hogi
Tera pyaar hai meri zindagi
Teri yaad hai meri bandagi
Jo teri khushi wo meri khushi
Ye mere junoon ka hai Mojaza
Jahan apne sar ko jhuka diya
Wahan maine Kaaba bana liya
Mere baad kisko satao gy? (57:55)
Mujhe kis tarha se mitao gy?
Maine un k saamnay, awwal to khanjar rakh diya
Phir kaleja rakh diya, Dil rakh diya, Sar rakh diya
Aur Arz kiya, Mere baad kisko satao gy?
Mene kaha Mizghaan hai ye, usne kaha ye teer hai
Mene kaha Aabroo hai ye, usne kaha shamsheer hai
Mene kaha chehre pe kyun bal khaati hain Zulfain, bata?
Usne kaha ye aashiqon k waaste Zanjeer hai
Mene kaha furqat main teri, Jaan par khela hun
Usne kaha zinda raha ye bhi teri taqdeer hai
Mene tumko dil diya, Tumne mujhe ruswa kiya
Maine tumse kya kiya, Aur tumne mujhse kya kiya
Jitna jee chahay satao, waqt hai
Be-kason par muskurao, waqt hai
Dekh lena main na tarpoon ga, Zaheer!
Shok se khanjar chalao, waqt hai
Meri wafa-ain yaad karo gy, Ro'o gy, faryaad karo gy
Mujhko to barbaad kiya hai, Aur kise barbaad karo gy?
Aa kar bhi naashaad kiya hai, Jaa kar bhi naashaad karo gy?
Tera Zulm nahi hai shaamil gar meri barbaadi main
Teri aankhain bheeg rahi hain kyun meray afsaanay se?
Par ye to bata do, phir
Mere baad kisko satao gy?
Jo pucha k kis tarha hoti hai baarish,
Jabeen se paseenay ki boondain gira deen
Jo pucha k kis tarhay girti hai bijli
Nigaahain milaaeen, mila kar jhuka deen
Jo pucha shab-o-roz milte hain kese
To chehre pe apne wo zulfain gira deen
Jo pucha k naghmon main jaadu hai kesa
To meethe Takallum main baatain suna deen
Jo apni tamanna-on ka haal poocha
To jalti hui chand shammain bhuja deen
Main kehta reh gaya, Khata-e-Muhabbat ki achi saza di
Meray dil ki dunya bana kar mitta di, Acha phir!
Mere baad kisko satao gy (01:06:20)
Kuch aisi qaatilaana nigaahon main dhal gaye
Armaan, aarzo k jinaazay nikal gaye
Kismat phiri to phir gaye Ehbaab is tarha
Dekha humain to door se rasta badal gaye
Mere baad kisko satao gy?
Mujhe kis tarha se mitao gy?
Kahan ja kar teer chalao gy?
Meri dosti ki bala-ain lo
Mujhe haath utha kar dua-ain do
Tumhain aik qaatil bana diya
Ye Jo Halka Halka Suroor Hai
Ye teri nazar ka Qusoor Hai
K sharaab peena sikha diya
Ye Jo Halka Halka Suroor Hai Saaqi ki har nigah pe bal kha ke pii gaya lehron se khelta hua lehra ke pii gaya Ay Rehmat-e-tamaam! Meri ...
Ye Jo Halka Halka Suroor Hai Lyrics | Nusrat Fateh Ali Khan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments: