Nusrat Fateh Ali Khan Pakistani vocalist and musician, primarily a singer of Qawwali, a form of Sufi Islamic devotional music.

LightBlog

Aankh uthi muhabbat ne angrai li Dil ka sauda hua chaandi raat main (chaandi raat main) Unki nazron ne kuch aisa jaaddu kiya lut gaye hu...

Aankh uthi Mohabbat Ne Angrai li lyrics | Nusrat Fateh Ali Khan

Aankh uthi Mohabbat Ne Angrai li lyrics | Nusrat Fateh Ali KhanAankh uthi muhabbat ne angrai li
Dil ka sauda hua chaandi raat main
(chaandi raat main)
Unki nazron ne kuch aisa jaaddu kiya
lut gaye hum to pehli mulaaqat mein

Dil lout liya iman lout liya
Humpe Aisa Jaadu kiya unki nazron ne
Khud Tarap kar on ke janib dil gaya
Humpe Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne
Sharab seekh pay dali kabab sheeshay main
Humpe Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne

Zindagi Doob Gayi un ki Hasin ankhon main
Yoon mera piyar ke afsanay ko anjaam mila
Humpe Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne

Kafiyat-e-chashm uski mujhe yaad hai "Souda"
Sagir ko mera hath sa lena ke chala main
Aisa Jaadu Kiya unki nazron ne

Hum hosh bhi apne bhul gaye
Imaan bhi apna bhul gaye
Ik dil hi nahi us bazm (mehfil) mein
Hum na jaane kya kya bhul gaye

Jo baat thi unko kehne ki
Wo baat hi kehna bhul gaye
Ghairon ke fasane yaad rahe
Hum apna fasana bhul gaye

Wo aa kay ajj samnay is shaan say gaye
Hum dekhta he dekhtay Imaan say gaye
Kya kya nigah-e-yaar me taseer ho gayi
Bijli kabhii bani kabhi shamsheer ho gayi

Bigri tu aah bani Dil-e-Ishq ki jaan per
Dil main utar gayi toh nazar teer ho gayi
Mehfil mein baar baar unhi par nazar gayi
Humne bachai laakh magar phir udhar gayi

Unki nigah mein koi jaadu zaroor tha
Jis par parri usi ke jigar mein utar gayi
Wo muskara keh dekhna, un ki toh thi adda
Hum be-taray tarap uthay aur jaan sa gayi

Attay he unkay, bazam kuch is tarhay howa
Seesha say Rind, Sheikh bhi Qur'an sa gaye
un ankhoo ka liye dil pa assar jatay hain
Mainkday hath bharhatay hai jidhar jatayian hain

Bhoolte he nahi dil ko mera mastana nigha
Sath jata hai ye Mainkhana jidhar jatayian hain
On ka andaz nay mujha ko bakhuda lout liya
Dai ka majboor ko paighame-e-wafa lout liya

Samna hota he jo kuch mila lout liya
kya batoon kay nazar miltay he kya lout liya
Nargasi ankhon na Iman mera lout liya

Banke tasweer-e-ghum reh gaye hain
Khoye khoye se hum reh gaye hain
Baant li sabne aapas mein khushiyaan
Mere hisse mein ghum reh gaye hain


Ab na uthna sirhane se mere
Ab to ginti ke dum reh gaye hain
Din katta jiss tarhay katta
lakin raat kat'ti nazar nahi atti

Dil zindgai sa tang hai jeena say Sair hai
Pemana bhar chuka hai chalknay ke dair hai
Qaafila chal ke maanzil pe pahuncha
"Thehro!" "thehro!" mein hum reh gaye hain

Dekh kar un k mangto ki ghairat
Dang Ehal-e-karam reh gaye hain
Un ki sattariyan kuch na pucho
Aasiyun k bharam rah gaye hain

Aey sabaa aik zehmat zara phir
Unki zulfon mein khum beh gaye hain
Kaayanat-e-jafaa-o-wafaa mein
Eik tum eik hum reh gaye hain

Aaj saqi pila Sheikh ko bhi
Ek ye mohtaram reh gaye hain
Daur-e-Mazi ke tasveer akhir
Ay-naseer ek hum reh gaye hain

Nazar mila ka meray pass akay lout liya
Loot liya, Loot liya
Khuda ke liya apni nazron ko roko! 
mera dil lout liya
Jis taraf uth gayi hain aahain hain
Chashm-e-baddoor kya nigahain hain

Dil ko oulat poulat ka dikhanay sa faida?
Keh tou diya kay bus! lout liya lout liya
Hai dosti tu janib-e-dushman na dekhna!
Jaadu bhara hua hai tumhari nigaah main

Karoon tareef kya teri nazar ke dil lout liya
Nazar mila ka meray pass aa kay lout liya
Nazar hati thi ke phir muskra ke lout liya
Koi yeh loot toh dekho ke usne jab chaha
Mujhi main reh ker, mujhi main sama ke loot liya

Na loot'tay hum, magar un must ankhiyun ne jigar
Nazar bachatay howay dub-duba ke lout liya

Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye hum to pehli mulaqaat main

Saath apna wafa main na chootay kabhi
Pyaar ki dour bandh kar na tootay kabhi
Chhut jaya zamana koi ghum nahi
Haath tera rahay bass mera haath main

Rut hai barsaat ki dekho zidd mat karo
Rut hai Barsaat ki
Rut hai Barsaat ki

Yeh Sulakti sham, yeh tanhaiyan
Baadlon ke saath hum bhi ro diye
Jahan ankhain barasti rehti hon, barsaat se pehlay
Wahan barsaat main badal baras janay sa kya hoga?

Yeh bheegi raat aur barast ke hawain
jitna bhula raha hun , woh yaad aa rahain hain
Yeh badal jhoom kar aya tou hain shen-e-gulstan per
Kahin paani na par jaya kisi ke ehad-o-Painman per

Log Barsaat main so jatain hain khush khush laikin
Mujhko in aankhon ki barsaat ne sonay na diya
Rut hai barsaat ki dekho zidd mat karo!
Raat andheri hai badaal hain chhaye huye

Ruk bi jao sanam tum ko meri qasam!
Ab kahan jaoge aisi barsaat mein?
Jiss tarha chahe woh aazma lain humain
Muntazir hain bass un ke ishaaray pe hum

Muskura kar fanaa wo talab tou karain
Jaan bhi apni de dein ge sougaat main
Aankh uthi mohabbat ne angrai li
Dil ka sauda hua chandi raat mein

0 comments: