Nusrat Fateh Ali Khan Pakistani vocalist and musician, primarily a singer of Qawwali, a form of Sufi Islamic devotional music.

LightBlog

Kar rahi hai dar haqeeqat Kaam saaqi ki nazar Maikaday main gardish-e-saagar bara-e-naam hai Phiroon dhoondta maikada? Tauba Tauba! ...

Jam Par Jam Pine se Kya Fayada Lyrics | Nusrat Fateh Ali Khan

Jam Par Jam Pine se Kya Fayada | Nusrat Fateh Ali Khan

Kar rahi hai dar haqeeqat Kaam saaqi ki nazar
Maikaday main gardish-e-saagar bara-e-naam hai

Phiroon dhoondta maikada?
Tauba Tauba!
Mujhe aaj kal itni fursat nahi hai
Tauba! Tauba! Tauba! Tauba!

Salaamat rahay teri aankhon ki masti
Mujhe maikashi ki zaroorat nahi hai

Salaamat rahain, teri aankhain!
Saaqi teri aankhain, Salaamat rahain

Gila nahi jo guraizaan hain chand paimaanay
Nigaah-e-yaar salaamat, hazaar maikhanay

Khanaktay jaam ka mohtaaj main nahi Saaqi!
Teri nigaah salaamat mujhe kami kya hai

Aankhain Saaqi ki salaamat, mere dushman tarsain
Dohray maikhaanay hain neeyat meri marnay k liye

Suroor cheez ki miqdaar par nhi moqoof
Sharaab kam hai to saaqi nazar mila k pila

Jaam par jaam peene se kya faida
Raat guzri to saari utar jaye gi
Teri nazron se pi hai khuda ki qasam
Umr saari nashay main guzar jaye gi

Dil uska namaazi ban jaaye
Aankh uski gulaabi ho jaaye
Tu jisko muhabbat se dekhay
Saaqi! Wo sharaabi ho jaye

Salaamat rahay teri aankhon ki masti
Mujhe maikashi ki zaroorat nahi hai

Ye tarq-e-Ta'aluq ka kya tazkarah hai?
Tumharay siwa koi apna nahi hai
Agar tum kaho to main khud ko bhula doon
Tumhain bhool jaanay ki taaqat nahi hai

Roz kehta hun, bhool jaaun tumhain
Roz ye baat bhool jaata hun

Ik baar tumhain Aqal ne chaaha tha bhulaana
So (100) baar junoon ne teri tasweer dikha di

Tujhko bhuloon? Koshish kar k dekhun ga
Warna darya ulta behna muskhil hai

Har ik morr par, ik nayi Maat (haar) khaayi
Rahi dil ki dil main, zubaan tak na aayi

Kiye hain kuch aisay karam doston ne
K ab dushmano ki zaroorat nahi hai

Aqal ko rog maar dete hain
Ishq ko sog maar dete hain
Aadmi khud-ba-khud nahi marta
Doosre log maar dete hain

Hamesha mere saamnay se guzarna
Nigaahain chura kar mujhe dekh lena
Meri jaan tum mujhko itna bata do
Ye kya cheez hai gar (agar) muhabbat nahi hai

Hazaaron taman'naain hoti hain dil main
Humaari to bass ik tamanna yehi hai
Mujhe ik dafa apna keh k pukaaro
Bass is k siwa koi hassrat nahi hai

Phiroon dhoodta maikada?
Tauba Tauba!
Mujhe aaj kal itni fursat nahi hai

1 comment: